Click Here to Watch https://www.highwaycpmrevenue.com/x5kefn70?key=4bc6fa2e82553dee6cc7b4742a9427df
Hindustan me is wakt bjp aur hindutva nazariya k hamil log sarkar me hain aur haqiqat to ye hai ki wo aaj qanuni seyasi jamaat ki haisiat se pure hindustan par qabiz hain
In logo ko is position me lane ki puri zimmedari congres k sir jati hai
Congres aur hidutva zehan k hamil peshruon k tarikhi talluk ko is jagah byan karna wakt ki barbadi hai
Kiun ki in dono ka talluk to hamesha se hai
Congres ki to buniyad hi hindutva par rakhi gai thi
Gulam mulko ki dusri bdi partiyo ki tarah congres ne bhi wahi rol hindustan me ada kiya tha jo ki in jamato ki khasiyat rhi
Kiun ki congres me bhi bila mazhab o millat sabhi kism k afraad shamil they
Aur dusri khas bat ye thi ki congres kabhi buniyad parasto ka sath deti hai jaise
Hindu mahasabha aur muslim lague aur kabhi mutzaad samaji wa iktesadi nazriyaat ki hamil partiyo ka
Mauka parasti ki is se bdi aur kia misal ho sakti hai
Tehreek aazaadi k dauraan fauri takazey k pesh e nazar aur dusrey ikhtelafi madayel me congres ki hamesha yahi polisi rhi hai
Aazadi k baad se firka parasti jaise hessas mauzu par congres ka kia maukaf rha hai jab ki is kism k takazey kafi qadeem hain??
Mai 3 misaal de kar is ko clear karta hun
1 qaumi iftekhar 2 firqa wariyat ka farog 3 mazhabi aqliyat( minority) k khilaaf tashaddud
In teeno hessas mauzuaat par congrs ne kis tarah k kadam uthaye hain btata hun
(1) 26 january 1963 ko 3 hazaar swayem sewak apne makhsus libaas khaki chaddi me yaume jamhuriya ki pared me lalkila k saamne shamil hue aur faujiyo k sath march kia
Us wakt jawahar lal nehru wazir e azam they RSS ko is march me hissa lene ki sarkari taur par dawat di gai thi
Us saal bharat china jung me bharti faujo ko zabardat shikast ne nehru ki maqbuliyat me zabardast kami kar di thi
Nehru us se itne zada dil bardashta hue ki unho ne qaumi iftekhar k sab se kharab zariya ko apnaane ki ijazat de di
Yaume jamhuriya ki pared me swam sevko ko sarkari dawat nama de kar nehru ne apne hi bnaye usoolo ko balaye taaq rakh diya
Aur hidutva ko apnaane ki ijazat de kar us par sarkari mohar laga di
Us pared ki radio comentry ko yaad kar k us wakt k logo ka sir sharm se jhuk jata hai ki kis tarah se desh k gaddaro ko utha kar aur us ko paira miletry ka darja de kar sarkari taur par us ki tareef ki gai thi
(2) 6 december1992 ko babri masjid ki shahadat se pahley soch samajh kar 3 aise kadam uthaye gae jis ka result pahley hi se sab ko msloom tha
23/23 december 1949 ki darmyani raat me babri masji me moorti rakhtey wakt bhi nehru wazir e azam they
February 1986 ko babri masjid ka tala kholne k wakt bhi congres ki hukumat thi aur rajiv gandhi us wakt wazir e azam they
Aur 9 november 1989 me shila nyaas k wakt bhi rajiv gandhi hi wazir e azam they
Jo us wakt bhut sarey scandalo me shamil ho chukey they
Aur unhi scandalo ki wajah se VP singh ne istefa de diya tha
Aur babri masjid ka inhedaam ka wakeya bhi congres ki goverment k dauraan hua
Us wakt Narsimha rao mulk k prime minister they
(3) hindustan me minority's ka munazzam qatl e aam
Gujraat qatl e aam ko mataki qarar diya jana( ki har action ka re action hota hai) congres k prime minister Rajiv gandhi k is naara ki den thi ki jab koi tanavar darakht girta hai to zameen me zazala hi aa jata hai
Is naara ki wajah se delhi me hazaro sikho ka qatl e aam hua tha
Gujrat qatl e aam ki dusri shakal thi
Bila shubha shikast khorda gang k muqabla congres ko matbadal k taur tarjeeh dena sahi ho sakta hai
Magar is ko seyasi matbadal tasleem kar lena aisa hi hai
Jaisa ki zubaan aur tehzeeb o sakafat ko nuksaan pahnchana
Africa k azeem inqlabi rahnuma
Oyel kar carl k alfaaz me
Jhoot na bolo,kiun ki fatah asaani se nhi milti ?
Aurangzeb -
Comments
Post a Comment